Apple iPhone Ke Liye Apple ID Kaise Banaye Free jaise ki hum sabhi jante hai ki Android phone ho ya phir mahenga Apple iPhone bina ID ke incoming, outgoing phone hi rah jata hai aap bina ID ke kuch bhi download nahi kar sakte ho. jaise ki hum sab jante hai Android phone ke liye Google ID ki jarurat padti hai thik usi tarah se apple store ke liye bhi Apple ID ki jarurat padti hai.Android phone ki ID banana hum sabhi jante hai lekin iphone ki ID banana thoda muskil hai.to chaliye dosto suru karte hai Apple iPhone ki ID kaise banate hai.

Bina Credit Card Ke Apple ID Kaise Banate Hai Full Guide
Kyunki Apple IOS best operating system me se ek hai. kya dosto aap jante ho ki Apple ki ID banane ke liye credit card ki bhi jarurat padti hai. magar hum aaj aapko batayege bina credit card ke Apple ID kaise banate hai. Hamari is post ko step by step follow kijiye. Aur banaiye apple ki ID apples ki service so ko use karne ke liye. aap apple ka App Store, I Tunes Store, I Cloud, I Message, Important service so ka istemal kar sakte hai.
How To Create Apple ID
Step 1
Apple store me ID banane ke liye, aapko Apple store me jana hoga aur Apple store ko open karna hoga.

Step 2
Apple store open hone ke baad me, aapko niche ki taraf footer me top chart ka opation milega uspar aapko click karna hai.

Step 3
Ab aapke samne Apple store ki sabhi top app najar aayegi uske bad aapko free wale tab par click karna hai. kyuki hum free me bina credit card ke Apple ID banayenge.

Step 4
Ab aapko apple ki free app ki list nazar aayegi.
Step 5
Ab aap konse bhi app ko install karne ke liye get wale opation par click karege to wah aapko sign in karne ke liye bolega. ab aap Apple ID banane ke liye create new par click kare.

Step 6
Create new par click karte hi aapko sabse pahle country select karni hai. aur uske bad me first par click kare.
Step 7
Phir aapko E-mail ID bharni hai jise aap Apple ID ki tarha use karoge. Phir password dale jo aap Apple ID par lagana chahte ho. aur phir se password dubara enter kare.

Step 8
Uske bad aapko kuch sawalo ke jawab bharne hoge, jisse agar aap kabhi password bhul jao to un sawalo ka jawab dekar apna password reset kar paoge.
Step 9
Aap chaho to phir se ek aur E-mail ID de sakte ho iski madad se bhi aap apna password reset kar paoge.
Step 10
Phir aap apni date-of-birth bhare aur next par click kare, ab aapke samne payment ka opation najar aayega lekin waha par None ko select kare, aur niche aapko billing detail me apna address bharna hai jaise Name, Surname, Phone Number sabkuch bharkar next par click kare.
Ab aap apni E-mail ID ko open kare waha par aapko Apple ID ke liye verification E-mail milegi use open kare aur usme jo verification link milegi us link par click kare.

Link open hote hi aap se aap ki E-mail ID aur password puchega waha aap apna E-mail aur Apple ID ka password bhare aur continue par click kare ab aapki E-mail ID verify ho gai hai. aur aapki Apple ID ban gai hai.

Ab aap Apple Store par jaye aur free ki apps ko download ke liye click kare sign in me apni Apple ID bhare aur apps aapke phone me download hone lagega.
Apple iPhone ki ID kaise banaye dosto aap samaj gay hoge.
Dosto Post Pasand Aai To Aap Apne Dosto Ke Sath Post Jarur Share Kijiye Taki Vo Bhi Jaan Sake.
Aapko Isi Tarah Ki Jankari Ke Liye www.wordkhojo.in ko visit kare. Aapko Hamare New Post Ki Latest Update Milti Rahegi.Agar Aapka Koi Sawal Ya Sujav Ho To Hame Comment Karke Jarur Bataye.
Tips: aap raat ko sote samay apne smart phone ko apne seer se dur hi rakhe ho sake to Air-plane mode me hi rakhe. Isse mobile ki ghatak tarrngo se aap surkshit rahoge.