Google Pay (Tez) App Online Digital Payment Kya Hai Or Google Pay account Kaise Banaye?, Hello Dosto Aaj ke post me ham aapko ek bahut hi shandar application ke bare me batayenge. Google Company ne bharat me Digital Payment Google Pay App launch kiya hai. Google Pay ek UPI payment app hai. yah online payment bhugtan ko aur aasan banana me madad karega. jo Bharat ke sabhi pramukh banko se sidhe paiso ki lenden ki suvidha deta hai. Isko use karna aasan hai. aur surkshit bhi hai. Isse aap apne dosto ko paisa bhej sakte hai aur apne bank account me turant paisa prapt bhi kar sakte hai. aaiye jante hai, ki Google Pay App Online Digital Payment Kya Hai.

Google Pay App Kya Hai Or kaise kaam karta hai ?
Google Pay App bharat ki kuch mukhy bhashao ko support karta hai. google company ne bharat me online payment bhugtan Google Pay App ki suruwat karte hue vit mantri shri arun jethli ji ne Google Pay Aap ki bharat me badhti digital payment bhugtan sevao ke fayde par jor dekar kaha hai ki, notbandi ke baad desh me tezi aayi hai. shri arun jethli ji ne bataya is varsh january me google company ke adhikaryo ne unse milkar is app par charcha ki thi. Google Company ne bhartiy bajar ko dhyan me rakhkar is app ko banaya hai. Bharat duniya ke sabse bade smartphone bajaro me se ek hai. jisme sabse jyada android operating system use kiya jata hai. Bharat ke liye viksit online bhugtan Google Pay App Android or IOS operating system par kaam karega. Google Pay App me sabhi tarah ke bhugtan karne ki suvidha hogi.
Pay App [NPCI] National Payments Corporation of India dwara launch kiya gaya hai.
Google Pay App bharat me aane se PM Shri Narendra modi ji ki bhavi digital india ki yojna ko support milega. is app ki kya khasiyat hai aur isko kaise use karte hai iski jankari niche de rahe hai. to dosto padhte rahiye.
Google Pay ke cool features.
Security
Paiso ki len-den karte samay security hamare liye bahut jaruri hoti hai.
paiso ke mamle me kai trah ke fraud hote hai. in fraud se bachne ke liye google ne is app me bhustariya suraksha di hai. jis wajha se hamari len-den me security barkarar rahegi.
Cash mode
Pay cash mode ke jariye ham apne najdik kisi ko turant payment bhej ya prapt kar sakte hai. aur iske liye aapko apni personal jankari (ex – account ki jankari, mobile number, email address etc.) share karne ki jarurat nahi hai.
Fast money transfer
Apne bank account ko Google Pay app ke sath link karne ke baad ham ek bank se dusre bank me paisa turant bhej sakte hai.
Upcoming features of Pay app
Debit card aur credit card dwara payment.
Aane wale kuch dino me aapko Google Pay app me Debit card aur credit card dwara payment karne ka bhi option mil jayega.
Jisse ham kahi bhi online payment kar kar sakte hai.
Google Pay account Kaise Banaye?
Jaise ki, aap jante ho Google Company Android App banane me sabse jyada popular hai. aur yah advance technology se less hai. isi technology ko use karte huve google ne Google Pay apps ko banaya hai.
Step 1
Sabse Pehle AAP Google play store se Google Pay App ko Download Karlo.
Step 2
Ab aapse language chose karne ko kaha jayega aap apni pasand ki language choose kariye.
Step 3
Ab aapko Apna mobile number dalna hai. (mobile number vahi dale jo bank account se juda ho.)
Step 4
Ab apna email address dalne ke baad continue ke button par click karna hai.
Step 5
Ab aapne jo mobile number dala hoga uspar 6 anki otp code aayega use enter kare.
Step 6
Ab aapko apne account t ke security ke liye 2 opation milege.
1 mobile screen lock
Isme aapne apne mobile me jis tarah ka lock lagaya hoga us tarah ka lock bhi Google Pay app me lagega phir aapko Google Pay app ko use karne ke liye apne lock ko kholna hoga.
2 – google pin
Is opation me aapko 4 anki pin banana hoga jise enter karne ke baad hi aap Google Pay app ko use kar sakoge.
Congratulation
Hamne Google Pay app par safalta purvak account bana liya hai
Google Pay App Online Digital Payment Kya Hai aap samajh gaye honge. Post pasand aaye to apne dosto ke sath jarur share kijiye. Aur aap ko is tarah ki jankari ke liye www.wordkhojo.in ko Visit Kare.
Agar Aapka Koi Sawal Ya Sujav Ho, To Hame Comment Karke Jarur Bataye Hum Aapke Sawalo Ka Javab Dene Ki Puri Koshish Karege Hame Aapki Pratiksha Rahegi